Tanha, akele ghar ke ek koney se
dekhti hai tujhko nazrein meri
kehti hai, door ho to door hi sahi par
zindagi tum ho meri
Tere andaaz-e-hasi ko suntey hain
chup-chaap doosre kamrey se
kehte hain, halki-halki si hi sahi par
hansi tum ho meri
Gussa rehta hai teri naak par
dekhta hu deewaron ke peechey se
kehta hu, naraaz hi sahi par
khushi tum ho meri
Gale lagaane ka jee chahta hai
mehsoos karte hain ghar ki dehleez se
kehta hu, masroof hi sahi par
sukoon tum ho mera
Tere baare mein likhne ki tamanna hai
kambakht kalam ruk-ruk ke chalti hai
kehti hai, lafz poore ho bhi sahi par
kahaani tum ho meri.
No comments:
Post a Comment
Drop in a word about this post.