Friday, April 27, 2012

Haath, ret aur paani


Paaniyon si duniya hai 
behti hi rehti hai 
sthir hona chaha maine 
toofaan sa le aati hai 


Ret si ummedien hai 
jitne milti kam hai ye 
uddti rehti door humse 
aankhon me fir chhubhti hai 


Haathon ka kasoor kya hai 
ye to man ke putle hai 
unko kya pata yaaron 
ret hai ya paani hai 


Ret, paani haathon me 
aate hai fisalte hai 
zindagi bhi aisi hai 
haathon se fisalti hai

2 comments:

Drop in a word about this post.