Ris rahi hai chehre se sharm is kadar
ke oopar dekhta hu to khud ko neecha paata hu
Chu rahi hai dil ko kisiki mehr is kadar
ke batuwe ke noton ko bhi bojh paata hu
Aa rahi hai khushiyon ki awaazein is kadar
ke goonje bhi koi gham to bhi muskura jaata hu
Dila rahi hai unki batein sukoon is kadar
ke takiye ko fenk uski baahon me chala aata hu
Rula rahi hai puraani baaton ki silvatein is kadar
ke sapnon ki chaadar se kuch khwaab bula laata hu
Mil rahi hai ab tamannaon ko udaan is kadar
ke aksar pairon ko paron ke naam se bula leta hu

No comments:
Post a Comment
Drop in a word about this post.