Tuesday, April 13, 2010

Krodhit

Barson se jo angaar chupaye baitha tha
us aag me jisme kabse jale jaata tha
wo ankahi kahani jisne mujhko banaya yu
ek kshan me zindagi ka matlab bataya yu
namm to kabse thi aankhen fir bhi hase ja raha tha

di himmat khud ke zameer ne ki khud se lad saku
iss dikhaave ki duniya me sach ka darpan dekh saku
har mod pe naye imtehaan liye isne yu
purzor talak kheencha meri shaktiyon ko yu
shukriya mere zehen ki chehron se sabki neeyat dekh saku

ab to thak gaya is aankh michauli se
is anyaay is khalish is apirichit saazish se
jisne thokarein di aur di dhikkaar yu
na samjhi meri laaykat aur na kabiliyat ko yu
hua krodhit ab to main is anchahi tareef se