Friday, March 23, 2012

Ajeeb se khala hai kyon
Ye mujhme kuch jala hai kyon
sahi-galat, galat-sahi
ye soch me pada hai kyon

In aandhiyon me kashtiyon ka
raasta ruka hai kyon
is kroor aasmaan ka ye
kehar umad pada hai kyon

Chala tha leke kismaton ko
haath wo thama hai kyon
jo dil ki baat sunta tha
use sochna pada hai kyon

Jo maali phool ki dhadkanon ko
sun-samajhta rehta tha
wo aaj uski chahaton ko
maarne chala hai kyon

Ye pyaar ki naram barf
se log jal rahe hai kyon
gar do logo haste hai to
kuch log achambhit hai kyon...

(to be continued...)