Monday, December 23, 2013

Khul jaane do aaj roshandaan saare...

Khul jaane do aaj roshandaan saare,
kya farq padega unko, jinke iraade roshan hain;
chhat jayega duniya se andhera to achcha hi hoga,
saamne aa jayenge sabhi raaz jo dafn hain...

Kamaan siyasit ki na dena aise arjun ko,
jo desh ke dil ko aankh samajh ke daag de;
aaj ho jaane do jung buraai ki,
ki jaag jayegi bachi-kuchi insaaniyat jo dafn hai...

Aaj darr me jee rahein hain log, aur khauff ka raaj hai,
jahaan chaahat pe hi rok ho, wo kaha ka swaraj hai;
chalo jakad lein khudko darindon ke changul mein,
ublega lahu sabka to uthega wo sailaab jo dafn hai...

Na jhaadu se, na jhaapad se, na kamal, na laltein se,
ye desh badlega to sirf avaam ki awaaz se;
marod dene do unhein har uthti ungli ko,
ke is bahaane niklegi wo cheekh jo dafn hai...



Friday, October 18, 2013

The feeling of being reborn

My first few days at Bangalore, here's what it feels like.

Its a new day, a new way
a new beginning altogether,
so many crazy people like me
Ive never seen together

It feels like a newborn
wondering whats going on
looking blank and figuring out
what're they talking on?

Discovering new roads
finding new friends
and learning on how to say
whatever is here in vogue

Its just inception,
the birth of confusion
but things will get better
cz I'm a go getter

Just like a baby
I need to be spoonfed
will take some time
to learn the tricks of the trade

but I'll do it
and this I know
just like a little baby
I am all ready to grow!

Wednesday, October 16, 2013

kuch sawaal la-jawaab

Kashtiyon ko dariya me chhod, tafreeh pe chal diye
lehron se wafaa ki ummeed hi kyon kar baithe?

They hum ek basi-basaayi basti ke badshah, 
naye shaher me hukumat ke sapne kyon soch baithe?

Chamak kisi cheez ki umar bhar tikti nahi ye jaante hain, 
fir bematlab si chaka-chaundh ko kyon sirhaane liye baithe hain?

Yaadon ka karwaan roke nahi rukta hai
fir bebaat yaadon se muh fer ke kyon baithe hain?

jaante hain, har aks me unka deedar sa rehta hai
fir aaiyene me khud ka chehra kyon dhoondhte hain?

Friday, August 9, 2013

Jab tak hai jaan (Bhuj ki Dosti Version)

Dedicated to all my friends of Bhuj
Esp. Husainali, Nirav, Anand, Darshit, Dharmesh & Akash

Wo baarish me bheegte huye
haamirsar tak paidal jana
wo bandh pe jaake paani ko
dekhte hi reh jaana
nahi bhoolunga mai
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Wo weekends pe ghoomne jaana
petrol ki costing divide karna
wo laut ke chinese ke thele par
bhel aur manchurian khanaa
nahi bhulunga mai
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Wo raat ko walk pe jaana
fir idgah pe jake baithna
wo shaant jheel me shehar ki 
roshni ko dekhte jaana
nahi bhoolunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Woh college bunk karke 
driving seekhne jana
Woh CC ke letters draft karvana 
aur professors ke cartoon banana

woh shaant 'satya' ka achanak se sixer sa comment maarna
aur sab ka ye baat par, zor zor se hansna
nahi bhoolunga main, 
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Wo kabhi kabaar milke
zindagi bhar ka sukoon pana
fir choti moti baaton me
ek dusre ki khinchayi karna
wo haste haste beet-te 
lamhon ka fisalte jaana
aur aankhon fir milne ke
armaan jagakar jaana
nahi bhulunga mai
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Friday, July 5, 2013

Tu Hi Zindagi, Ummeed Bhi Tu Hi

Tu hi zindagi, ummeed bhi tu hi
rab ki rehmat ki, boond bhi tu hi (2)
tu sabse khaas, teri hi pyaas,
hai tu hi dehshat bhi...
o rabba tune kehar to barsa re, ab reham bhi barsa de (2)

Kisi aur ke aangan mein, mere ghar ke tukde hain,
tune kyon bedardi se, mere sapney raundey hain, (2)
hai sab jagah tera abhaas, 
hai ujdi kismat bhi...
o rabba tune kehar to barsa re, ab reham bhi barsa de (2)

Sab tinke jod ke ye, ek ghar sa banaya tha,
tune ek hi jhatkey mein, saare tinke bikhre re, (2)
ab tu hi bol, tu zindagi ka kaisa maalik hai...
o rabba tune kehar to barsa re, ab reham bhi barsa de (2)

tujhse hi nikli thi jo, tujhko nigal wo gayi,
humne ganga maili ki, uski sazaa ye mili, (2)
hua taar-taar tujhpe yakeen ab kaise mumkiin hai...
o rabba tune kehar to barsa re, ab reham bhi barsa de (4) 


Tuesday, January 29, 2013

Koi humse pooche

aankhein nahi dil rota hai 
arey yaadein kya hai koi humse pooche

unki baaton ki goonjein harsoo hain
arey dil me basna kya hai koi humse pooche

unke kadmo ki aahat se jaag jaana
arey khwaab kya hai koi humse pooche

nazron ka bejhijhak soona rehna
arey intezaar kya hai koi humse pooche

chhot lagna unko aur dard hume hona
arey do dil ek jaan hona kya hai koi humse pooche

lafzon ki kami se chupp ho jaana
arey khubsoorat pyaar ko bayaan karna kya hai koi humse pooche

hatheli mei paani ko kaid karna
arey kasautiyaan kya hai koi humse pooche

unki awaaz sunne ki raah me duniya se alag ho jaana
arey kisi ke liye tadapna kya hai koi humse pooche