Monday, August 27, 2012

jhooth ki duniya

Insaan ki ye khoobi hai
man se atrangi hai
kisi rote huye mukh pe
muskaan ka parda hai

Apno ki ye khwahish hai
ya bekaar numaish hai
zulm tumhe pila de tab
jab khud hi pyaase hai

Ye bhookh nirali hai
katlon ki diwani hai
pet bharega jisse tu
wo kisi aur ki thaali hai

Meri ek hi chaahat hai
jo meri zindagi ka daria hai
tumne samjha hi tha galat
ye tumhara nazaria hai

bola jo bhi ab tak hai
dil se mere ubhra hai
jaha sachchai ko khoj raha
wo to jhooth ki duniya hai
wo to jhooth ki duniya hai