Friday, August 9, 2013

Jab tak hai jaan (Bhuj ki Dosti Version)

Dedicated to all my friends of Bhuj
Esp. Husainali, Nirav, Anand, Darshit, Dharmesh & Akash

Wo baarish me bheegte huye
haamirsar tak paidal jana
wo bandh pe jaake paani ko
dekhte hi reh jaana
nahi bhoolunga mai
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Wo weekends pe ghoomne jaana
petrol ki costing divide karna
wo laut ke chinese ke thele par
bhel aur manchurian khanaa
nahi bhulunga mai
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Wo raat ko walk pe jaana
fir idgah pe jake baithna
wo shaant jheel me shehar ki 
roshni ko dekhte jaana
nahi bhoolunga main
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Woh college bunk karke 
driving seekhne jana
Woh CC ke letters draft karvana 
aur professors ke cartoon banana

woh shaant 'satya' ka achanak se sixer sa comment maarna
aur sab ka ye baat par, zor zor se hansna
nahi bhoolunga main, 
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan

Wo kabhi kabaar milke
zindagi bhar ka sukoon pana
fir choti moti baaton me
ek dusre ki khinchayi karna
wo haste haste beet-te 
lamhon ka fisalte jaana
aur aankhon fir milne ke
armaan jagakar jaana
nahi bhulunga mai
jab tak hai jaan, jab tak hai jaan