Monday, December 23, 2013

Khul jaane do aaj roshandaan saare...

Khul jaane do aaj roshandaan saare,
kya farq padega unko, jinke iraade roshan hain;
chhat jayega duniya se andhera to achcha hi hoga,
saamne aa jayenge sabhi raaz jo dafn hain...

Kamaan siyasit ki na dena aise arjun ko,
jo desh ke dil ko aankh samajh ke daag de;
aaj ho jaane do jung buraai ki,
ki jaag jayegi bachi-kuchi insaaniyat jo dafn hai...

Aaj darr me jee rahein hain log, aur khauff ka raaj hai,
jahaan chaahat pe hi rok ho, wo kaha ka swaraj hai;
chalo jakad lein khudko darindon ke changul mein,
ublega lahu sabka to uthega wo sailaab jo dafn hai...

Na jhaadu se, na jhaapad se, na kamal, na laltein se,
ye desh badlega to sirf avaam ki awaaz se;
marod dene do unhein har uthti ungli ko,
ke is bahaane niklegi wo cheekh jo dafn hai...