Saturday, November 19, 2011

Wo kehte hai

Wo kehte hai dua kabhi kabool nahi hoti
har insaan ki kismat likh di hai usne, badli nahi jaati

Wo kehte hai baghavat ka koi nateeja nahi aata
dushman banake duniya me koi sukhi nahi hota

Wo kehte hai ma-baap sabse badi zimmedari hai
unse kabhi rukh moda nahi jata

Wo kehte hai ki jab insaan khud hi khud ke faisle le
to khuda bhi uske aade nahi aata

Wo kehte hai jab do dil mile to taqaat-e-zamana hara nahi pata
kyunki itne bahadur jazbe se kabhi koi jeet nahi pata

Wo kehte hai ke tum aur main bichadne ke liye mile they
par ab humse zamane ka nasaayat-naama suna nahi jata

Wo kehte hai ke zindagi badnuma daag banke reh jayegi
par ab saaf-suthra humse raha nahi jata

Wo kehte hai ki do insaan ko tum kabhi khush nahi rakh sakte
par inhi do logo k bina jeevan guzara nahi jata

Haan parivaar bhi zaruri hai aur pyaar bhi
par ab khudko ghut-te huye dekha nahi jata

Chuna hai maine pyaar ko parivaar se pehle
kyonki dohri duvidha ab hume bardaasht nahi hota

To ab meri zindagi bas tum tak seemit hai
bin tumhare zindagi ka lafz pukara nahi jata

Karunga tumko pyaar itna ki tumne socha nahi hoga
likh dunga humara naseeb jo usne bhi kabhi likha nahi hoga.