Sunday, November 8, 2015

Tasbeeh mein aapki yaad

Tasbeeh mein aapki yaadon ko piro ke rakhkha hai
aapke jaane ke baad aapka naam khuda rakhkha hai

moorat to nahi hai ghar mein par tasveer to hai kahi
log kehte hain maine andar ka naastik jala rakhkha hai

Dhuan uthta hai jalte huye dil se aksar
ghutan ne apni hatheli par aapka ittr daba rakhkha hai

sochta hu ki na hoke bhi aapka ehsaas zaroor hai
aayine mein dekhu to mujhme bhi aapka aks rakhkha hai

kal jab gaya tha apne gaanv ki purani galiyon mein kahi
logon ne ab bhi aapke naam se mera vajood jod rakhkha hai

zamaane beet jayenge, nasamjhi ki jeet hogi
aap to jaante hi hain ki humne apna naam sabr rakhkha hai


Monday, November 2, 2015

पूछो पूछो

पूछो पूछो क्या माजरा है
आदमी-गैय्या दोनों लाचार है

पूछो पूछो किसका दबाव है
खाने में क्या है - कोई सुझाव है?

मैग्गी बैन है पोर्न भी न है
मुफ्त इंटरनेट का होप भी न है

बीफ न खाइयो, allowed नहीं है
पाक का कोई इण्डिया में allowed नहीं है

रास्तो पर ट्रैफिक का जाम लगा है
भीड़ में एक ठग को ठग ने ठगा है

पूछो पूछो क्या माजरा है
पढ़ा-लिखा MBA भी घूमे आवारा है

लेखक खुद को काट रहा है
खुद ही के लिखाव को छांट रहा है

डॉक्टर की भी कुछ लाचारी है
शायद उसे भी पैसों वाली बीमारी है

सर्विस वाला खुद ही को कुत्ता बता रहा है
और उल्टा आवारा कुत्ते से आपत्ति जता रहा है

पूछो पूछो क्या माजरा है
ताज वाला नहीं, अब pollution वाला आगरा है

मीडिया क्या न्यूज़ बना रही है
रुको, शायद खुद बुंन रही है

जनता बेहरी होकर भी ये
सारा तमाशा सुन रही है

किसीको चांटा तो किसी पर कालिक पूत रही है
काली हथेलोयों वाली पब्लिक कहाँ घूम रही है

खबरें भी आजकल कठपुतलियां हुयी जाती हैं
जो डोर खींचे उसकी हुयी जाती हैं

रेप पर रेप होते जा रहे हैं
पुलिस की छड़ी के नीचे शिकार ही शर्मा रहे हैं

आज़ादी मिली पर  कैसी, न्याय तो न हो पाया
मुल्क का सही पर सोच का बटवारा न हो पाया

पूछो पूछो क्या माजरा है
पूछो पूछो क्या माजरा है.


Tuesday, October 6, 2015

Main tumse fir shaadi karna chahta hu...

It's been more than 3 years since I married the love of my life, Meera and these years have been like magic, you feel you've been through everything yet you feel you've just opened the jar of romance. But the fact remains that three years down the line, I feel I've missed a lot of things that I would have loved to share side-by-side with my wife. A whole new set of pre-wedding and wedding photoshoot is one of them, a brand new re-honeymoon is another (this time at an exotic location and for more number of days) and there's a lot more I want to do. Here's a bucket list, written in my own, favourite poetic style.

Ek baar fir tumhe pehli baar dekhna chahta hu
tumhaari sooni aankhon mein intezaar dekhna chahta hu

Dosti ki khatti-meethi baaton se kab chatpata pyaar ho gaya
wo lamhein fir se jeena chahta hu

wo chhat par akele baatein karna, haste huye labon ko sanvaarna,
tumhari befikri ko ek baar fir dekhna chahta hu

yu kabhi chup-chup ke bin bataye anjaan shehar tak sair karna
us ishqaani hawaa ko fir choona chahta hu

haathon mein haath liye bhaagey they bheegtey huye jis shaam
us baarish ki thandi boondon mein fir nahana chahta hu

wo tang mohabbat ki raahein, judaaiyaan, akelapan aur tumse milne ki tadap
ye saare ehsaas tumhaare saath jeena chahta hu

wo saanson ka rukna aur haathon ka kasna, darr ke saaye mein din bhar rehna
wo manzar kitne hi kharaab they, par fir bhi fir se jeena chahta hu

shaadi se pehle ki wo andhiyaari raat, subha ka aanchal thaame huye soye hum,
us beinteha khumaar ka pyaala fir peena chahta hu

aur hanste-huye fere lena, aur shaadi ke baad engagement karna
wo utsukta fir mehsoos karna chahta hu...
main tumse fir shaadi karna chahta hu...

Tuesday, August 18, 2015

Kahaani tum ho meri

Tanha, akele ghar ke ek koney se
dekhti hai tujhko nazrein meri
kehti hai, door ho to door hi sahi par
zindagi tum ho meri

Tere andaaz-e-hasi ko suntey hain
chup-chaap doosre kamrey se
kehte hain, halki-halki si hi sahi par
hansi tum ho meri

Gussa rehta hai teri naak par
dekhta hu deewaron ke peechey se
kehta hu, naraaz hi sahi par
khushi tum ho meri

Gale lagaane ka jee chahta hai
mehsoos karte hain ghar ki dehleez se
kehta hu, masroof hi sahi par
sukoon tum ho mera

Tere baare mein likhne ki tamanna hai
kambakht kalam ruk-ruk ke chalti hai
kehti hai, lafz poore ho bhi sahi par
kahaani tum ho meri.


Tuesday, April 7, 2015

waqt

भीड़ में कुचली गयी एक घड़ी बयान करती है,
कल तेरा वक़्त बुरा था, आज मेरा वक़्त बुरा है...
-सत्यव्रत 

Zaroori hai...

Umr badhti hai, badhti rahegi,
kuch sukoon mein izaafa bhi zaroori hai...

waqt udta hai, udta rahega,
kuch waqt ka tajurba bhi zaroori hai...

khwaab aate hain, aate rahenge,
neend se jagna bhi zaroori hai...

hawaa chalti hai, chalti rahegi,
kuch hawaa ka rukh badalna bhi zaroori hai...

pyaar aata hai, aata rahega,
pyaar ka ehsaas bhi zaroori hai...

kalam likhti hai, likhti rahegi satya,
kuch dilon pe chhapna bhi zaroori hai...